Thursday, April 3, 2008

Chaltay Chaltay

Apr 03, 2008
Status: Complete
Author: Dont Know!

--------------------------------------------------------------------------------
Chaltay Chaltay
--------------------------------------------------------------------------------

Duniya ki lambi raahon per hum yun to chalte jaate hain,
Kuch aise log bhi miltey hain jo hamesha yaad aatey hain

Laikin woh raah badalte hain apni aur mur kar haath hilatey hain,
Laikin woh dilon ko yaadon ki khushbu ban kar mehkaatey hain

Aise hi safar karte karte ik humsafar mila hum ko bhi kahin,
Duniya mein acchey log bohot magar us ki si baat nahin

Woh dheemey lehje wala tha aur woh dheerey se hansta tha,
Jitne bhi log miley hum ko sach jano sab se accha tha

Thi laag na us k bolon mein ki baat na koi lagawat ki,
Us k fiqrey tootey tootey se us ki aankhien khoi khoi sien

Keh kar hi na de jo hum chahien socha hi kare betha betha,
Per dekhey aisi narmi se ik baar to hojaye dhoka

Go saath hamara khoob raha us ko howi pehchaan bohot,
Gar boojh le dil ki baat kabhi hojata tha heraan bohot

Aur hum us ki heraani per sharminda ho kar reh jaatey,
Kuch aur hamara matlab tha phir dair talak yeh samjhatey

Ab chehra us ka ujla ho ya aankhien us ki hoon gehri,
Ya us k pyaare honto ki har baat lagey thehri thehri

Kuch log jo acche hote hain aur raahon mein mil jaatey hain,
Hain in ko kaam bohot kab apna waqt ganwate hain
KAB PYAASE PYAASE REHTE HAIN KAB JEE KO ROG LAGATE HAIN.....
---------------------------------------------------------------------------------

No comments: